Ek tha engineering college, tha Somaiya jiska naam,
Hasi-khushi padhna yahi tha waha ke students ka kaam.
Wahi ki EXTC branch me padhte the ye namune sabhi
Dhyanse suniyega sab, kahani to shuru hui hai abhi-abhi.
Mai aur Sarika 1st benchpe baitha karte the
Hamare alawa sirf Neeta Suman lectures ko suna karte the
Jaha fan ki hawa pahuche Rekha-Dipti waha baitha karte the
Chahe dus baje ho ya baara, lecture ke bich bindhast khaya karte the.
Unke piche baithke Ami-Shalu n Averil SM ko saha karti thi
Ami-Shalu likhneme to Averil sochneme dang raha karti thi
Lecture me professor aaye ya na aaye, Arun jarur aata tha
D’mello ka to aadha waqt library mehi jata tha
Ek that Shot Shanker jo apnihi (GRE ki) duniya me rahta tha
Ek tha Chatu jo har baat ko haste hue kahta tha
Kaustubh n Mani KR ke lecture me kabhi dhyanhi nahi de paye the
Par WN me highest marks inhi donoke aaye the
SM ke lecture me Pandene sincerely sums kiye the
Lekin SM ne term work me use marks kam diye the
Dombivali me rahke bhi Akshay waqt se pehle aata tha
Aur dombivali me rahke Vijay shayad hi 9.30 se pehle pahuch pata tha
Har DCOM practs me Venky naye puzzles diya karta tha
Har din ke last lecture me Nadu ek apple khaya karta tha
Submission karib aate hi assignments badha karte the
Us tension me Ram ke gaane saath diya karte the
Koi ek like assignment to copy sab log kiya karte the
Koi ek ho present to bhi proxies se column bhara karte the
Beet gaye wo pyare din, sirf yaadoka silsila rah gaya
Chaha to tha waqt ko thame rakhna,
par wo to haatose paani ki tarah bah gaya
Alag ho chuki hi raahe par dosti abhi bhi barkarar hai,
Yaad karenge wo yaade jis din milenge hum…
Ab to hume sirf us din ka intejar hai…
-shubhada